Friday, June 4, 2010

Ae tez hawa naraaz na ho...
Is dil me salaamat hain ab tak...
woh shokhi-e lab, woh harf-e wafa,
woh naqsh-e qadam, woh aks-e hina....
Sau baar jise chooma humne,
...Sau baar parastish ki jiski....

Is dil me salaamat hain ab tak...
Woh gard-e alam, woh deeda-e nam,
Hum jisme chipa kar rakhte the,
Tasveer bikharti yaado'n ki,
Zanjeer pighalte waa'do'n ki,
Poonji nakaam iraado'n ki....

Ae tez hawa naraaz na ho,
Is dil me salaamat hain ab tak...
Samaan bichadti sa'at ka
Kuch tukde garm do-pahro'n ke,
Kuch re'ze narm sawaalo'n ke,
Kuch dur anmol khyaalo'n ke...

"Ek saccha roop haqeeqat ka
Ek jhoota lafz mohabbat ka"...
See More

Friday, May 28, 2010

PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE
APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE
TUM KAHO TU SUB KUCH APNA SONP DOON TUM KO LAMHO MEIN
JITNA TUM PAY HAI BHAROSA HUMEIN,KHUD PA BHI YAAR NAHI KARTE
DARD DIL KO AAISE MILLEY HEIN,ROOTI REHTI HEIN AANKHEIN
WARNA HUM SUB SEEH LETE ,ANKHEIN ASSHKBAAR NA KARTE
Kisi Ki Aankh Sey Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta
Mandiron Sey Chiragon Ko Bujha Kar Kuch Nahi Milta

Koi Aik Aadh Sapna Ho To Phir Accha Bhi Lagta Hay
Hazaron Khuwab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta

Yeh Accha Hay Kay Aapas Kay Bharam Na Tootne Payein
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Kar Kuch Nahi Milta

Amal Ki Sookhti Rag Mein Zara As Khoon Shamil Kar
Mere Humdam Faqat Batein Bana Kar Kuch Nahi Milta

Mujhey Aksar Sitaron Sey Yeh Awaz Aati Hay
Kisi Kay Hijar Mein Neendein Ganwa Kar Kuch Nahi Milta

Jiggar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Say Royengi
Ae Dil Befaiz Logon Sey Nibah Kar Kuch Nahi Milta.
Bana Gulab To Kaante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamam Rang Mere Aur Sare Khwab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Aik Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Woh Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina Khana Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs
Ab yeh mohabbat mujh say phir na hogi
Ab yeh himakat mujhy say phir na hogi

Tum mujhey milljao,ab yeh dua maire phir khabhi na hogi.
Mairey khawabon mai tum Aao ab yeh Illtija maire phir kabhi na hogi.

Ab yeh mobahhat mujh say phir kabhi na hogi.

Maire chahat ki shamma ab tum say phir kabhi ronshaan na hogi.

Ab yeh mohabbat mujh say phir kabhi na hogi.....

Khaye thi joh kassam saath nebhaney ki HUM ney
ab shayed who purii abb phir kabhi na hogi.

Rahon mai abb phir kabhi pyaar ki woh kalli na kheleygi.
Chahat key rasty mai ab kabhi woh ROSHNI phir na hogi..

Ab yeh mohabbat mujh say phir kabhi na hogi.....

Ab maire ratein Phir kabhi tairey khayalon say hasein na hogein.
Ab mairey Labbon phar tujh say phir kabhi koi shikayat na hogi...

AB YEH MOHABBAT MUJH SAY PHIR KABHI NA HOGI.......
Ek diya dil mein jalaana bhi, bhuja bhi daina
Yaad karna bhi ussay roz, bhula bhi daina

Kya kahoon yeh meri chaahat hai ke nafrat us ki
Naam likhna bhi mera, likh ke mitta bhi daina

Phir na milne ko bicharta tu hoon tujh se lekin
Murr ke dekhoon tu palatne ki duaa bhi daina

Khat bhi likhna ussay, mayoos bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar ko ko saza bhi daina

Mujh ko rasmoon ka takkaluf bhi gawaara lekin
Jee mein aaye tu yeh deewaar gira bhi daina

Surat-e-naqsh-e-qadam, dasht mein rehna
Apne hone se na hone ka pata bhi daina..
Mujhe To Har-pal Sata-ti Hai Tumhari Yaadein,
Par Tumhe Meri Yaadein Kyon Nahi Aati!?
Yaadon Mein Fir Bhar Aati Hai Meri Yeh Aankhein,
Kya Tumhari Aankhein Meri Yaad Mein Bhar Nahi Aati!?

Kaise Tumhe Dilaaun Yakin Ki Bin Tere Mein Tadapta Hun,
Kya Meri Judaai Mein Tum Be-Chain Ho Nahi Jaati!?
Dil Machalta Hai Bin Tere Bhatakte Bhanware Ki Tarha,
Kyon Bankar Khushbu Tum Dil Mein Mere Sama Nahi Jaati!?

Fir Tanha-2 Bhatakta Hun Raahon Mein; Dhundhta Hun Tere Chehre Ko,
Kyon Kisi Chehre Mein Mujhe Tum Nazar Nahi Aati!?
Shayad Ab Tum Hi Ho Meri Just-ju Aur Meri Aakhiri Aarzoo,
Par Tumse Milne Ki Khwaahish Mein Yeh Jaan Bhi To Nahi Jaati!?

Jab So Jaata Hai Saara Jahan; Khaamosh Raat Ki Aagosh Mein,
Kyon Mujhe Saari-2 Raat Neend Nahi Aati!?
Leta Rehta Hun Bister Pe Main Apni Baahon Ko Failakar,
Kyon Bankar Pari Tum Meri Baahon Mein Sama Nahi Jaati!?
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO
HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO
ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO
TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO
CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye

woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye

poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye

jee bhar ke dekh lo hum ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
Us ke bina ab chup chap sa rehna acha lagta hai,
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,
Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,
Samne us ke kuch naa kehna acha lagta hai,
Mil kar us se Bichar naa jaaon darti rehti hoon,
is liye bas door hi rehna acha lagta hai,
janti hoon ki chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,
Je chahey sab khushiyan laa kar us ko de doon,
us ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,
us ka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal us ki yaad mein roona acha lagta hai,
us ke bina sab khushiyan Ajab si lagti hain,
Ro Ro kar us ki yaad mein sona acha lagta hai
Batoon Batoon Mein bicharnay ka ishara kerkay
khud bhi roya wo buhat hum say kinara kerkay

sochta rehta hoon tanhai mein anjam-e-khuloos
phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara kerkay

jagmaga di hain teray shehar ki galian mein nay
apnay her ashk ko palkoon pe sitara kerkay

dekh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
aur kuch roz teray sath guzara kerkay

aik hi shehar mein rehna magar milna nahee
dekhtay hain ye azziat gawara kerkay
Mere khuwabon ka hr ik naqsh mita day koi
Sookhay patton ka bacha dhair jala day koi

meri pehchan ka ik shakhs isi shehr main hay
main abhi zinda hun us ko bata day koi

kuch to tanhai ka ehsaas mujhay kam ho ga
mere saaye se agr mujh ko mila day koi
THAK GAYE HUM UNKA INTEZAR KARTE KARTE
ROYE HAZAR BAR KHUD SE TAKARAR KARTE KARTE
DO LAFZ NA NIKLE UNKE ZUBAN SE
AUR TUT GAYE HUM EK TARFA PYAR KARTE KARTE
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch laug zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulayea na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

Thursday, May 20, 2010

Mohabbat aakhrash hai kya?

main shaay'er hoon to aksar log, mujhse poochte hain
mohabbat aakhrash hai kya?
"Wasi" main ha'ns ke kehta hoon....

kisi pyaase ko apne hisse ka paani pilaana bhi mohabbat hai
bhan'war me doobte ko, saahilo'n tak le ke jaana bhi mohabbat hai
kahi'n hum raaz saare khol sakte ho'n magar phir bhi
kisi ki be'basi ko dekh kar khaamosh reh jaana mohabbat hai
kisi ke vaaste jabran hi honthon par han'si laana mohabbat hai
kahin baarish me sehme bheegte, billi k bacche ko
zara si de'r ko ghar le ke aana bhi mohabbat hai
koi chidiya jo kamre me, bhatakti aan nikli ho
to us chidiya ko
pankhe band kar ke, raasta baahar ka dikhaana mohabbat hai
mohabbat ke hazaaro'n rang, laakho'n ist'aare hain
kisi bhi rang me ho yeh
mujhe apna banaati hai
ye mere dil ko behlaati hai..........
Abhi jab laut ker phir TUM hamare dar pe aaye ho
Ye tumse keh diya kis ne
ke TUM bin reh nahin sakte
ke ye dukh seh nahin sakte....
Chalo ye maan lete hain
ke TUM bin HUM bahot roye
kayee raaton ko na soye
Mager ek baat hai jaana'N !
Ke TUM nakaam lauto ge
Ager TUM jaanna chaaho
ke aisa kyon kiya HUM ne
To sun lo ghaur se jaana'N !
Purani ...ek riwayat to'd di HUM ne
"MUHABBAT cho'd di HUM ne"
Tujhe Ishq Ho Khuda KareKoi Tujh Ko Uss Se Juda Kare
Tere Hont Hansna Bhool JayeinTeri Ankh Purnam Raha Kare
Too Uss Ki Batein Kiya KareToo Uss Ki Batein Suna Kare
Use Dekh Kar Too Ruk PadeWoh Nazar Jhuka Kar Chala Kare
Tujhe Hijr Ki Woh Jha'di LageToo Milan Ki Har Pal Dua Kare
Tere Khwaab Bikhrein Toot Kar Too Kirche Kirche ..... Chuna Kare
Too Nagar Nagar Phira KareToo Gali Gali Sada Kare
Tujhe Ishq Ho Phir Yakeen HoUse Tasbiyon Par Padha Kare
Main Kahoon "Ishq Dhong" Hai Toooo Nahin Nahin Kaha Kare.....!

Wednesday, May 19, 2010

Meri raato'n ki raahat, din ka itminaan le jana
tumhare kaam aa jayega, ye samaan le jana
Tumhare baad kya rakhna, ana se vaasta koi?
tum apne saath mera umr bhar ka maaan le jana
Shikast'a ke kuch re'ze pade hain farsh par chun lo
agar tum jo'd sakte ho, to ye guldaan le jana
udhar almaariyon mein, chand auraaq pareshaan hain
mere ye baaqi-manda khwaab, meri jaan le jana
Tumhe aise to khaali haath, rukhsat kar nahi sakta
puraani dosti hai, is ki kuch pehchaan le jana
Irada kar liya hai tumne gar, sach-much bichadne ka
to phir apne ye saare waada-O-paimaan le jana
Agar thodi bahot hai shayari se un ko dilchaspi
to un ke saamne tum mera ye deewan le jana....
(Ana----> ego, Shikast'a---> broken, re'ze---> particles, Auraaq---> documents, papers, Baaqi-manda---> remainder,dilchaspi---> interest )
Usne door rehne ka mashwara bhi likha hai
Sath hi mohabbat ka wasta bhi likha hai
Usne yeh bhi likha hai, mere ghar nahin aana
Saaf-saaf lafzon mein raasta bhi likha hai
Kuch huroof likhe hain, zabt ki naseehat mein
Kuch huroof mein uss ne, hausla bhi likha hai
Shukria bhi likha hai dil se yaad krne ka
Dil se dil ka hai kitna, ........... faasla bhi likha hai
Kya use likhen MOHSIN, kya use kahen MOHSIN
Jisne kar ke be-Jaan, phir Jaan-e-Jaan bhi likha hai...
Baandh lein haathon pa, seene me saja lein tumko
ji me aata hai ke, ta'veez bana lein tumko
phir tumhe roz sanwa'rein, tumhe badhta dekhein
kyon na aangan me chameli sa laga lein tumko
jaise baalo'n me koi, phool chuna karta hai
ghar ke guldaan me, phoolo'n sa saja lein tumko
"kya ajab khwahish'ein uthti hain, hamare dil mein
kar ke "munna" sa hawa'on me uchaalein tumko"
is qadar toot ke tum par hame pyar aata hai
apni bahon me bharein, maar hi daalein tumko
kabhi khwaabo'n ki tarha, aankh ke parde me raho
kabhi khwahish ki tarha, dil me bula lein tumko
hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein
apni baato'n me dua'on sa utha lein tumko
"jaan dene ki ijaazat bhi nahi dete ho
warna mar jaayein abhi, mar ke mana lein tumko
"jis tarha raat ke seene me hai, mahtaab ka noor
apne taareek makaan'on me saja lein tumko
ab to bas ek hi khwahish hai, kisi mod par tum
humko bikhre hue mil jao, sambhalein tumko...........

Tuesday, May 18, 2010

Aankhen......

Aaj kuch is tarah hume unki yaad ane lagi
Dil ki gahrayi se ye baat hume satane lagi
Main samajhta raha use bhul raha hun mai

Ayena dekha to tasveer uski nazar ane lagi
Pal har pal mai tadpta rahta hun uske liye

Marna chaha bhi to saanse uski satane lagi
Rom rom me basi hai uske jism ki khushbu

Use dil bhar k chumne ki khwahish ane lagi
Main kya bataun kis tarah se ji raha hun mai

Aisa lagta hai maut ki aahat mjhe satane lagi
Main khafa hun usse wo bewafa hai mujhse

Phir najene kyon ye ankhen mjhe rulane lagi

Ehsaas.......

Apna Ehsas mar na jaye kahin ,
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan ,
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana ,
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko ,
Dar hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey ,
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat,
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey,
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala their,
Hum ko Dar hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon,
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar ,
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Labbon pe ruki.......

Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Wo Ek Baat Jo Lafzon Mai Aa Nahi Sakti
Jo Dil Mai Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
Ke Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti
Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
Nazar Khayaal Se Aagey To Jaa Nahi Sakti
Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
Teri Samajh Mai Meri Baat Aaa Nahi Sakti
Yeh Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai Jesey
Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti
Simat Rahi Hai Mere Baazuoun Ke Halqay Mai
Haya Ke Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti
Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka
Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti
Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mai Jesey
Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti
To Jo Bhi Hona Hai, Yahin Pe Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti

Khat tere.........

Mai Fadna chahuon khat tere,
Ab yaad teri nahi aati hai.
Mai to Bhula chuka hoon tujhko,
Ab kiyon arman jagati hai.
Tere Jhoote wade sunkar,
Zor se rona aata hai.
Too to hai besharm bahut,
Ab bhi rulaye jati hai.
Jab tune bhulaya tha mujhko,
Ab tujhko bhulana chahunga.
Dil mera toda tha toone
sabko batana chahunga.
Yaadon mai Teri yeh aankhen
har lamha ashq bahati hai
Jo beet Gaye hai lamhe
wo baaten harpal tadpati hai
Na jee paun na marr paun,
Ab to teri yaadon mai
chhod kar too daman mera khush hai gair ki bahon mai.

Ek Shaqsh.....

Aankhein benoor dil weeran kar gaya ek shaqsh mujh ko tanha kar gaya
khushyian lay gaya hai woh sari faqat meray naam ghamon ka jahan kar gaya
chaltay chaltay aachanak mujh se juda aeisay hua mujhe heraan kar gaya
soochtii hoon es tanha mausam me inchar soo yeh keisa sama kar gaya
koi kisi ka hota hai nahi yahan jatay jatay yeahi farmaan kar gaya
khatam hona jis ka mumkin nahi aeisahijr ka taweel fasila kar gaya
bechanee ka betabi ka dil mein ek toofan sa barpa kar gaya
bichra tuo mujh ko ehsaas hua mujh ko mujh se juda kar gaya
chalna jis pay kabhi asaan tha apnaaaj wohi khathan rasta kar gaya
apni bhi kuch mana gaya aakhir woh meri bhi kuch baat maan kar gaya
meray koocha e weeran se jatay jatay har rasam e wafa nibha kar gaya
surat aaniay mein deikhoon to sochoon khudmein kia thi woh mujh ko kia kar gaya….
Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya Khaak main meri hasthi mila kar gaya
Pyaas jiski sada mai bhujatha raha Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya
Naaz uski wafa per mujhe tha magar Teer woh bhi jigar per chala kar gaya
Doondta tha kabhi jo mujhe her gali Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya
Mangta tha sahara jo herdam mujhe Besahara mujhe wo bana kar gaya
Neend aagosh main jiski aane lagi Maut ki neend mujh ko sula kar gaya
Aarzoo thi "Yaaro" kisii ki mujhe, Kwaab mere wahi to mita kar gaya

Jab se tum gaye ho.............

Veeraan hai mehfil meri jab se tum gaye ho
Bujh gayi hai saari roshni jab se tum gaye ho
Andheron ke saaye mein hai rooh meri
Roshni ne chhora daaman jab se tum gaye ho.
Dil ki duniya khali hai tab se,jab se tum gaye ho
Sab aane se darte hain yahan,jab se tum gaye ho
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon
Kissi ne na poonche aansoo jab se tum gaye ho.
Khamosh ho chuki hai zubaan jab se tum gaye ho
Meri aankhon mein toote hue sapne kuch de gaye ho
Unhi sapno mein ab zindagi ki guzzar karta hoon
Us khawab ko toda nahin jab se tum gaye ho.
Dour jab tum mujh se ho to yeh khyal aata hai
Kya meri tarah tum bhi aahein bhar rahe ho
Phir jab aati hain mujhe hichkiyan
Yeh sochta hoon keh tum mujhe yaad kar rahe ho.
Zinda hoon main yahan to teri hi khatir
Ke maut bhi aati nahin hai jab se tum gaye ho
Akelapan hai bas ab mere saath
Khushiyan to tum se thien,tum unko le gaye ho

Gum ko saja kar....

Ham apne gham ko sajaa kar bahaar kar lenge
Tere khyaalon ko thora sa pyaar kar lenge
Muhabbaton ki kahani tujhe sunaeinge
Hawa chale gi to aanchal ki yaad aaye gi
Ghata uthe gi to kaajal ki yaad aaye gi
Tere haseen tasawwar ko pyaar kar lenge
Yoon yaad hum bhi tujhe baar baar kar lenge
Jo pyaar karte hain woh in ghamon ko sehte hain
Muhabbaton mein toofan aate hi rehte hain
Tumhare naam ko dharkan ke saath rakh lenge
Tumhare chehre ko darpan ke saath rakh lenge
Yeh dooriyon ka samundar bhi paar kar lenge
Tamaam umar tera intezaar kar lenge