Friday, June 4, 2010

Ae tez hawa naraaz na ho...
Is dil me salaamat hain ab tak...
woh shokhi-e lab, woh harf-e wafa,
woh naqsh-e qadam, woh aks-e hina....
Sau baar jise chooma humne,
...Sau baar parastish ki jiski....

Is dil me salaamat hain ab tak...
Woh gard-e alam, woh deeda-e nam,
Hum jisme chipa kar rakhte the,
Tasveer bikharti yaado'n ki,
Zanjeer pighalte waa'do'n ki,
Poonji nakaam iraado'n ki....

Ae tez hawa naraaz na ho,
Is dil me salaamat hain ab tak...
Samaan bichadti sa'at ka
Kuch tukde garm do-pahro'n ke,
Kuch re'ze narm sawaalo'n ke,
Kuch dur anmol khyaalo'n ke...

"Ek saccha roop haqeeqat ka
Ek jhoota lafz mohabbat ka"...
See More

No comments:

Post a Comment