Wednesday, May 19, 2010

Meri raato'n ki raahat, din ka itminaan le jana
tumhare kaam aa jayega, ye samaan le jana
Tumhare baad kya rakhna, ana se vaasta koi?
tum apne saath mera umr bhar ka maaan le jana
Shikast'a ke kuch re'ze pade hain farsh par chun lo
agar tum jo'd sakte ho, to ye guldaan le jana
udhar almaariyon mein, chand auraaq pareshaan hain
mere ye baaqi-manda khwaab, meri jaan le jana
Tumhe aise to khaali haath, rukhsat kar nahi sakta
puraani dosti hai, is ki kuch pehchaan le jana
Irada kar liya hai tumne gar, sach-much bichadne ka
to phir apne ye saare waada-O-paimaan le jana
Agar thodi bahot hai shayari se un ko dilchaspi
to un ke saamne tum mera ye deewan le jana....
(Ana----> ego, Shikast'a---> broken, re'ze---> particles, Auraaq---> documents, papers, Baaqi-manda---> remainder,dilchaspi---> interest )

No comments:

Post a Comment